Mera pata (My Address)
Itna sa pata mera,
Likh lijiye Hajoor,
umeed hai likhenge aap khat jaroor
Viran chaukhto pe sisakti udasiyan,
lekar kahri hai sham we-waqt -e- seher jahan
jaane ko jis gali main thithakti hai roshni,
gabhra ke aur jaati hai jis dar se chandni.
is rehgujar se chalkar jara aur thori dur
bus hai mera mukam, kabhi aaiyega jaroor
itna sa pata mera.............
foolon ko khusboo ou se nichora gaya jahan
pankho ko aarjo ou ke tora gaya jahan,,
arma justju ke kuchalkar jehre bahar
muddat hui yahan se gayi thi wo pichli bar
is rehgujar se chalkar jara aur thori dur
bus hai mera mukam, kabhi aaiyega jaroor
Itna sa pata mera............
julmat bande mashal liye jiske pahredar
jaale jahan lage hue , uljhan ke be sumar
thanhaiyan kabhi na siwa jiske aa saki
apne siwa makin ka pata bhi na pa saki,
aaho ki kabra-gah se bas chal kar thori dur
roshan rakhunga jakhme-jigar, aaiye jaroor
is rehgujar se chalkar jara aur thori dur
bus hai mera mukam, kabhi aaiyega jaroor
itna sa pata mera............
Comments
Post a Comment