Way to change the system


U me aur hum ,
Yahi to hai system,

Sab kahte hain is desh ka kuch ho nahi sakta,
Par keval jameen ka tukra desh ho nahin sakta,

Karne wale aap ho, jameen ko desh bananae wale aap ho,
Aao ek kadam udhayen
              Kuch nahin se kush ki aur bad jayen.

Pura desh baiman hai, corruption hi sabka iman hai,
Jante ho is sacchai ko, kyun corruption ke saath ho,

Sirf  ‘be’ ko  mitakar ,apne ‘imaan’ ko  bachana hai,
Mat dundho tum saath kisi ka, kudh ko is se tumhe bachane hai,

Kanoon ki to sab majak banate hai,
Bus kagaj ke tukro se apni bukh mitate hain,
Is kagaj ka dosh nahi, tumme apna hosh nahin,

Bik tum kyun jaate ho ,anmol is jeevan ko kyun vyapar banate ho?

Jante ho ,sochte ho, chillate ho,
Pata nahin intjar hai kiska ,
            Kya parivartan tum chahte ho?

Manuj shrasth hai, to apar manuj hai pass thumahre,

Is bar soch se aage badkar ,
Ek kadam uthana hai,
Manjil ke hum pass kahere hain,
Bus sahi disha main jana hai,
                    Is aur corruption ke hum hai,
                    Us aur tak hum ko jana hai,
Safar hum chalaenge
                    Aur system change ho jana hai,
Mahan BHARAT aur mahan ho jana hai.

Comments

Popular posts from this blog

संविधान की उद्देशिका का अर्थ -संवैधानिक मूल्य Preamble of Indian constitution -meaning and explanation

Assessments in Mathematics and School based assessments,Learning outcome in primary grades as per NCERT

Maths activities for 3rd class ( संख्या ज्ञान) Number system